Meri baaton mein matlab na khojna
shabdon se mayno ki anban chal rahi hai aajkal
Cha jana kabhi maqsad na tha
tujhe do pal lubha diya
meri kavita ko apni mandzil mil gayi
Andheri galiyon mein jagmagaati raaton mein, kabhi ishq, kabhi havas
Aur ab dekhiye raton mein bhi chaundha dene wali roshni hai jo sone tak nahi deti
Ladte ladte pathar na bana yeh dil
Mohabbat mein hum bahar se pathar
Andhar se itne khokle ho gaye ki zindagi sirf
ek thokar se chur chur ho jayegi
kabhi naam yaad karti hun, kabhi nishaniyaan dhundti hun,
bhool jaati hun tum to mere dil mein hi base ho
Is dil mein kahan koi dekh paya
Aankhon se aankhein milana hi namunkin sa ho chala hai
sankalp ek hi kaafi hai manzil ko paane ke liye
Kabhi khud ko dekhte hain to lagta hai
budhaapa sa aa chala hai
Aud dil ko lagta hai, aaj bhi bachpana karle
aankhein kamzor ho ..bhavo pe safedi chaa jaye
tumahri muskuraahat dekh kar mujhe humesha lagega
bacchi ho tum, jaisi bhi ho, acchi ho tum
Us pyaar ka zariya ban jao, jo khud se kar paaun
Us umeed ka dhaga ban jao, jisse khud ko jod paaun
Us umr ka salika ban jao, jo main nibha paaun
Mera man hai bada chanchal, ise kaise samjhaaun
jodd de jo tere mann ko mere mann se, woh dhaga bata kahan se lau
Mann se mann ka rishta kabhi kabhi hota hai puraana
na samjha hai kabhi, na samjhega yeh zamana
ya toh mann mein kuch bhar ke jeele,
ya toh mann bhar ke jeele
Sunaungi tumhe kahaniya aangan ke jhoole par
dopahar ko neem ki chaawn mein, katori mein namkeen bhar
Azaad panchi ho tum, humesha bann na chahti thi na?
woh hawa ki sarsarahat, suraj ki pehli roshni mein bekaraar pankh
jab badalon ko cheer ke nikalte thay,
bada mazedaar ehsaas tha na.. azaadi ki khushboo ka
Suna hai aajkal tum pinjare dhoondti ghoomti ho
kya hua, aasmaanon se ji bhar gaya?
Azaad panchi pyaar mein aksar apne pankh kaat leta hai
kya kare, aakhir panchi hai, pyaar karna jaanta hai
Duniya ne bohot baatein kahin mujhse, bohot bula bhara kaha
bataya mujhe main kitni mushkil hun, kitni kathor hun, kitni ajeeb hun
Main chup chaap sunti jaati hun kyunki kisi se bolne ka khaas man nahi hota
par ab lagne laga hai, apni awaaz, apne liye uthaani hi padegi
Main jitna thakungi, utni yeh zindagi thakayegi
Ab uthkar, zindagi jini hi padegi
Haal toh hai yeh humaara bhi, pinjara bhaata nahi aur azaadi raas aati nahi!
Chalo wahan kahin chalein jahaan pinjra bhi khule aur aasman bhi itna upar na ho
chalo wahi kahi basa lenge aashiyaan
tum bhi azad mehsoon karogi aur main bhi tumse bandh ke khush rahunga
Ek tinka main laata hun, dusra tum le aana!
Aashiya aise hi banta jayega
Main zameen ka vasi, tum aasmaano ki rani
yeh Malad aur Dadar ki, humari adhoori kahani!