Saturday, May 2, 2020

1st May 2020 - Romance & Love in times of Corona


Not my usual covid space but today's going to be a poem. I have been meaning to write in Hindi for a while now but just couldnt find the mind space to.

Today was surprisingly inspiring though.

Since it's also my parents' 32nd anniversary, I'll probably dedicate the poem to them:-


Shuruaat yaad nahi rehti aur ant kabhi bhoola nahi jaata
Kaisi hoti hai mohabbat, bataye koi ishaq zaada

Umangon ki nadiyaan behtin hain aur moh moh ke jharne
Geet gaati hai duniya saari aur hawa chalti hai aah bharne

Ek pal mein kabhi ek umr hi jee lete hain, kabhi umr bhar bhi nahi jiya jaata
Kaisi hoti hai mohabbat, bataye koi ishaq zaada

Jab zindagi sapno se bhi khoobsoorat ban jaye, to neend kise kab aayegi
Jab tadap bhi raas aane lag jaaye, to sharaab bhi nahi lubhaayegi

Kal tak hum ajnabi thay, ab saaya bhi mera tum se aata
Kaisi hoti hai mohabbat, bataye koi ishaq zaada



Poetry: Pink Lipstick

I put on a pink lipstick and curled my hair Wore my heels and slit in my skirt, without a care Chin up and chest out, I walked towa...